Bharat Jain – Bhikhari No. 1 ,India’s richest beggar in 2023

Trendindian
3 Min Read

Bhikhariyon ka Bhikari: Bharat Jain – Bhikhari No. 1

Yeh toh suna hi hoga, saathiyon! Delhi ki galiyon mein ya traffic signal par kisi bhikhari ko bhikh maangte hue dekha hai? Tum sochoge ki woh garib hai, laachar hai, isi liye bhikh maang raha hai. Lekin, bhai, sab bhikhari aise nahi hote. Kuch bhikhari aise bhi hote hain jinke paas karodon ki sampatti, bangla, luxury gaadiyan aur kaafi saara bank balance hota hai. Unke bachche bade-bade convent schools mein padhte hain, unke paas apna khud ka bada business bhi hai, dukaanen hain, lekin phir bhi woh sadakon par bhikh maangte hain.

Mahine mein 75-80 hazaar kama lete hain

Aaj hum baat kar rahe hain Bharat Jain ki, Bharat ke sabse raees bhikhari ke baare mein. Bharat Mumbai mein rehte hain aur har mahine bhikh se karib 75-80 hazaar rupaye kama lete hain. Inke paas Mumbai ke posh ilake Parel mein 80 lakh ka ek BHK duplex apartment hai. Saath hi Bhandup ilake mein ek dukaan bhi hai, jiska kiraya har mahine lagbhag 20 hazaar rupaye aata hai.

Raees hone ke baad bhi bhikh maangte hain

Itne raees hone ke baad bhi Bharat Jain ko Mumbai mein bhikh maangte hue dekha ja sakta hai. Khaaskar Azaad Maidan ya Chhatrapati Shivaji Terminal par bhikh maangte hain. Tum bale hi din mein 12-14 ghante ki naukri karte ho, lekin Bharat Jain bagair kuch kiye logon ki raham se mahaj 10 se 12 ghante ke bhitar 2000-2500 rupaye har din juta lete hain.

Parivaar ke log stationary ki dukaan chalate hain

Bharat Jain apne pure parivaar ke saath Parel ke BHK duplex apartment mein aish-o-aaram se rehte hain. Unke bachche convent school mein padhte hain. Parivaar ke doosre log stationary ki dukaan chalate hain. Unhone Bharat se kai baar kaha ki bhikh mat maango, lekin Bharat kisi ki nahi sunte aur rozana bhikh se do-dhai hazaar rupaye kama lete hain.

Toh yeh tha Bharat Jain – Bhikhari No. 1, jiske paas dhan, sampannata aur sab kuch hai, phir bhi woh sadakon par bhikh maangta hai. Life, yaar, kuch bhi ho sakta hai!

Share This Article
Follow:
Just an Ordinary person Like You :)
Leave a comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Exit mobile version